Kaise Nachoo'n Sargam par jabb saaz nhi milte,
Tareef karoo'n kya aapki alfaaz nhi milte.
Ho adarsh bhi aap sabhi ke sabke ho ustad,
Aisse jahaan mein khushdil bag-o-bahaar nhi milte.
Hote hain jo hussan ke badshah woh nazar nhi aate,
Basste hain woh dil mein beech bazaar nhi milte.
Berang ho chukkein hain ab maidan-e-jung bhi,
Koi samjhota karne ke aasar nhi milte.
Milna mehaz hamara unse itefaaq hi hoga,
Chalte chalte raaho'n mein yu'n kirdaar nhi milte.
Hoti hon jahan baatein dil ki dil ko khol kar,
Aksar zindagi mein aisse yaar nhi milte.
Mehakta hai sab seekhne walon ke magaz ka ab gulshan,
Chamman mein aisse phool DUPINDER baar baar nhi milte.

Role Model poetry- http//dupindermohan.blogspot.in |