Sukoon-e-Dil barbaad Ishq mein na hota toh kya hota.
Uljhann bhi hai bhut barri hai bhut barra afsaana,
Tujhko dhoond kya khaaq sakeingay gar Khud ko na pehchana,
Fasal-e-Yaar mein hargiz hi Beej na bota toh kya hota,
Qayenaat mein teri Ishq......
Dupinder Singh |
Rehta hai tu mujh mein hi nahi parda uthata Magar,
Paas bhi tu nhi milta mujhko kahi door nhi jata magar,
Uljhaya Insan ko aisa na khhota toh kya hota
Qayenaat mein teri Ishq………………
Tum chodo baatein Jannat ki Jannat bhi cheez hai chotti si,
Jab sabb kuch mera tumse hai neeyat kyu rakhu khotti si,
Yaad mein teri saans ka moti na pirota toh kya hota,
Qayenaat mein teri Ishq.......
Tere Ishq ki Nagri mein jis jis ne pair pasara,
Nanak bana Mohammad koi kisi ko Ram uchara,
Tere haseen dekh ke Jalwe aashiq na hota toh kya hota,
Qayenaat mein teri Ishq...........
Zikar tera zubano par hai yaad teri hai dil mein,
Charche tere naam ke hotay dekh bhari Mehfil mein,
Teri khushbu mehke har sooh gar na sanjota toh kya hota,
Qayenaat mein teri Ishq...........
Kafir hain woh shakas jinhone mujhko Kafir jana,
Apne bheetar paya jisko ussi ko maine mana,
Khaak ki chadar par Dupinder na sota toh kya hota,
Qayenaat mein Teri Ishq ………

Lajwaab
ReplyDelete